Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Saturday, July 2, 2011

Mairy wehmo guman sy bhi ziada tot jata hy




Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...

Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jale Chirag To Bujhne Laga, Mera Chehra

Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safeer Sadiyon Ke
Tu Un Dinoon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada
Teri Talash, Zamane, Hawa, Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra

Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ke
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ke Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi?
Badan Ke Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra

Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-E-Shaam-E-Safar Thi Ke Mera Chehra

Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahi Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...

mein apne dil ko dard se bharta chala gaya

mein kis se miloon koi bhi dil ko bhata nahi
yeh zindage abb apni,dora hai per khari hai

khuloos dil se nibhaen jo koi ehad karein
yeh log kaise zamane talash kerte hain

muddaton un ko fakat un ko satane ke liye
geet gaye dil aashufta nawa ne aae dost

dil gawara nahi kerta hai shikast umeed
har tagafal pe nawazish ka guman hota hai

ilahi bhej de aise mein jaan tamanna ko
sakoot shab ka satana hai aur dil ki kahani hai

woh yun dil se guzarte hain ke aahat nahi hoti
woh yun awaaz dete hain ke pehchani nahi jaati

dil apni khirkanon ko chupa jaye kis tarah
pehle pehal ka khat likhna jae kis tarah

bharne ko teri mang mein zar-taab keh-kashan
mein apne dil ko dard se bharta chala gaya

Meri Ankhoon Kay Samandar Main Jalan Kaisi Hai

Meri Ankhoon Kay Samandar Main Jalan Kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Ge Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki Rida
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi Hai

Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Aata Hai
Usay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai...

Aacha huwa usne bhi roka nahi mujhe

Ek shaks paas rehkar bhi samjha nahi mujhe
Is baat ka malal hai, shikwa nahi mujhe

Mein usko bewafa ka ilzam kaise du
Usne to abteda say hi chaha nahi mujhe

Kya kya umeed band kar aaya tha samne
Usne to aank bhar ke bhi dekha nahi mujhe

Pathar samaj kar paoon ki thokar pa rakh liya
Afsoos uski aankho ne parkha nahi mujhe

Kab taherna tha dost uske paas hamain
Aacha huwa usne bhi roka nahi mujhe

Friday, February 4, 2011

‘I am revolution’, I have lost my mind .

I am born in the blood of the oppressed,

In the veins of the poor, I start to flow;

The hearts of the depressed have my throbs,

The wounded egos give me a beaming glow.

The injustice always thinks , I have died,

The repression considers , I have no choice;

The savagery never fathoms my depth,

The brutal regimes try to silence my voice.

I wait for my foes to mend their ways,

I exhort them to behave with a human grace;

But their arrogance stands as a stumbling- block,

Then with every silent sigh, I increase my pace.

Slowly, I leave my abode in hearts and minds,

And come on the streets to show my might;

Like the seething sea under the scorching Sun,

My simmering discontent gains its height.

Fuming with rage, I become a tempest,

My frenzy makes me totally blind ,

What I will do, I am unable to foresee;

None can anticipate my colour and kind.

Wait for the time when my fury ends,

Horrific trails of ravages, you will find;

Luxurious palaces will be lying in debris,

‘I am revolution’, I have lost my mind .

Monday, June 7, 2010

Shaam K Baad [2]

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitne chupchap se lagate hain shajar shaam ke baad
itne chupchap ke raste bhi raheinge la-ilm
chor jayeinge kisi roz nagar shaam ke baad
main ne aise hi gunaah teri judaai mein kiye
jaise tuufaan mein koii chor de ghar shaam ke baad
shaam se pehle vo mast apani aDaanon mein rahaa
jis ke haathon mein the TooTe hoe par shaam ke baad
raat biti to gine aable aur phir sochaa
kaun thaa baais-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad
tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaaN raat kaa dukh
tuu kisii roz mere ghar mein utar shaam ke baad
lauT aaye na kisi roz vo aavaaraa majaaz
khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

Shaam K Baad [1]

Aankh Ban Jati Hay Sawan Ki Ghata Shaam K Baad
Loot Jata Hay Agar Koi Khafa Shaam K Baad

Woh Jo Tal Jati Rahi Saar Se Bala Shaam K Baad
Koi To Tha K Jo Deta Tha Dua Shaam K Baad

Aahein Bharti Hay Shaab-E-Hijer Yateemoon Ki Tarah
Sard Ho Jati Hay Har Rooz Hawa Shaam K Baad Shaam

Tak Kaid Raha Karte Hain Dil Kay Andar
Dard Ho Jatey Hain Saray Reha Shaam K Baad

Loog Thak Har K Soo Jate Hain Lakin Janaan
Hum Ne Khush Ho K Tera Dard Saha Shaam K Baad

Shaam Se Phelay Talak Laakh Sulaye Rakhain
Jaag Uth,Ti Hay Mohabat Ki Anaa Shaam K Baad

Khawab Takra K Palat Jatay Hain Baand Ankhoon Se
Jane Kis Jurm Ki Kis Ko Sazza Hay Shaam K Baad

Chaand Jaab Roo K Sitaroon Se Galay Milta Hay
Ik Ajaab Rang Ki Hoti Hay Fizaa Shaam K Baad

HUM Ne TNHAI Se Poocha K Milo Gi Kab Tak
US Ne Bay-Cheni Se Foran Kaha ,Shaam K Baad

Main Agar Khush Bhi Rahoon Phir Bhi Mere Sinay Main
So-Gawari Koi Rooti Hay Sadaa Shaam K Baad

TUM Gay Ho Too Seeha(Black) Raang K Kapray Pehnay
Phirti Reehti Hay Mere Ghar Main Kazza Shaam K Baad

Din Ajab Mothi Main Jakray Hoye Rehta Hay Mujhay
Mujhay Is Baat Ka Ahsaas Hoa Shaam K Baad

Koi Bhoola Hoa Ghaam Hay Jo Mujh Ko
Dil K Paataal Se Deta Hay Sadda Shaam K Baad

MAAR Deta Hay Ujaar Jane Ka Doh,Ra Azaab
Kaash Ho Koi Kisi Se NAA JUDA Shaam K Baad

Sunday, May 2, 2010

Oonchay Oonchay Namoon Ki Takhtiyaan Gira dena

Oonchay Oonchay Namoon Ki Takhtiyaan Gira dena
Zulm Kerney Walon Ki Wardiyaan Jala dena

Dar Badar Bhatakna kiya Daftaron k Jungle mein
Beelchay Utha lena Digriyan Jala dena

Maut se Jo Darr Jao Zandagi nahin milti
Jung Jeetna chaho Kashtiyaan Jala dena

Phir Bahu Jalaney ka Haq Tumhain Puhunchta hai
Pehlay Apney Aangan ki Baitiyaan Jala dena

Friday, April 30, 2010

Kaam kaaj or mizaaj kesa ha?

Kaam kaaj or mizaaj kesa ha?
KaL to kaL tha ßtao aaj kesa ha?

Humary shehr me hain mohbat k dushman
Tumary shehr me btao riwaj kesa ha?

Us ki awaz sun Loon to miLta ha sakon-e-diL
Mere ghum ka dekho iLaj kesa ha?

Us ki meethi ßaaten ßhooL sakta nahi kabi
MOHSIN teri awaz ka mohtaj kesa ha...!

Us k Baghair Agarchay meri umer kat gai,,

Us k Baghair Agarchay meri umer kat gai,,
Lekin hayat kitny anaasir men batt gai..

Main ne usy khareed liya chahton k bhaao,,
Phir youn hua k Keemat-e-Bazar ghat gai..

Baithi hui thi ott men khawabon ki chandni,,
Main dekhny lga to dareechy se hut gai..

Logon ne meri shakal k tukrey utha liye,,
Tasveer mere chahney walon me...n bat gai..

Ghar chorney ka jb b irada kiya "Qateel"
Qadmon se uski yaad ki khushbu lipat gai.

Kabi to lot kr aao

Kabi to lot kr aao

Mujhy bs itna samjhao

Kahan se seekh li tum ne

Ada mujhko bhulaane ki

Tumhen mujhse shikwa tha

Ya koi bi shikayat thi

Zehmat to zara si thi

Na koshish ki bataane ki

Bhala yun chorr kr apna koi apnon ko jata hai

Musalsal dukh ki baarish me

jeewan bhar rulata hai

Abi bi rait geeli hai

Abi sb naqsh baqi hain

Gaye qa...dmon pe lot aao

Mujhe bs itna samjhao

Kahan se seekh li tum ne

Ada mujhko bhulaane ki..

Monday, April 26, 2010

Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye

Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans k moonh chupaya kabhi moonh chupa k roye,

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye,

koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat.
main use suna k royon wo mujhe suna k roye.

meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat.
jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye.

teri bewafaon per,teri kaj adaon per.
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye.

Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunaie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye,

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roy,

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon k wo door ja k roye . . !

Saturday, April 10, 2010

TUM KHAMOSH REHTE HO

'BOHAT MUDDAT SE AESA HAI
K TUM KHAMOSH REHTE HO
KOI GEHRA HAI GHAM SHAYD
JISE CHUP CHAP SEHTE HO
YOUN HI CHALTE HOVE TANHA
KOI GHAMGEEN SA NAGHMA
TUM AKSAR GUNGUNATE HO
DORAN-E-GUFTGO YOUN HI
MILEN NAZRON SE JB NAZREN
TO BATEIN BHOL JATE HO
KISI GUMSUM SI HALAT MEIN
YA PHIR BARISH K MOSAM MEIN
FAQAT ITNA HI KEHTE HO
UDASI BE WAJA C HAI
BOHAT BOJHAL TABIYAT HAI
BHALA SUCH KYUN NHI KEHTE
TUMHE
US SE MUHABBAT HAI,,,'

'Adhi soi , jagi ankhien

'Adhi soi , jagi ankhien
khawab se hai8n bojhal ankhien

ager raat gehri hai to kia
raat se gehri veeran ankhien

apnay hum moun se kuch na bolien gay
bayan kerien gi maira haal ankhien

Aisay ! kaisay ? dekh rahien hain
apnoon ki yeah ajnabi ankhien

hum ko ab tuk yaad hai teri
waqat-e-rukhsat wo barhum ankhien

kon poochta hai ab hamara haal
kon dekhay yeah num ankhien

khulay dareechay ab bhi dekhien
kaisy hain yeah pagal ankhien

tere intazar main dekh jana
band hoi tere "RAAZ" ki ankhien'

Naam Tera Likh Deya Barish Ke Baad'

'Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad
Ik Diya Jalta Raha Barish Ke Baad

Mairay Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Ro Pari Thandi Hawa Barish Ke Baad

Mairy Tanhaye Ka Daman Thaam Ker
Kuch Udassi Ne Kaha Barish Ke Baad

Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad

Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per
Naam Tera Likh Deya Barish Ke Baad'

"MUHABBAT chorde di HUM ne"'

'Abhi jub lout ker phir TUM humaray dur per aye ho
Yeah tum se keh diya kis nien
ke TUM bin reh nahien saktay
ke yeah dukh seh nahien saktay
Chalo yeah maan laitay hain
ke TUM bin HUM buhat roye
kayee ratoon ko na soye
Mager ik baat hai "JANA"
Ke TUM nakam loto gay
Ager TUM jannana chaho
ke aisa kion kiya HUM nien
To sun lo ghor se "JANA"
Purani ik riwayat torde di HUM nien

"MUHABBAT chorde di HUM ne"'

Teri khusboo nahi milti,tera lehja nahi milta

'Teri khusboo nahi milti,tera lehja nahi milta
Hamain to shehar mai koi,teray jaisa nahi milta

Yeh kis dhundh mai hum tum,safar-e-aghaaz kar baithay
Tumhain aankhain nahi milti hamain chehra nahi milta

Har ik tadbeer apni raaigaan tehri mohabbat mai
kisi bhi khwaab ko tabeer ka rasta nahi milta

Bhala is k dukhon ki raat ka koi madawa hai
Woh maa jis ko kabhi khoya hua bacha nahi milta

Musaafat mai duaa-e-abr un ka saath daiti hai
Jinhain sehra k daaman mai koi darya nahi milta

Jahan zulmat ragon mai apnay panjay gaar daiti hai
Is hi taareek rastay per diya jalta nahi milta'

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey MujhKo

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey MujhKo,
Ungliyaan Pheir Kar Baloon Mein, Sula DeyMujh Ko
Jiss Trah Faaltu Guldaan PareyRehtey Hein,
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey LagaDey Mujh Ko
Yaad Kar Key Mujhay TakleefHi Hotti Ho Gi,
Eik Qissa Houn Purana Sa,Bhula Dey Mujh Ko
Dubtey Dubtey AawazTeri Sun Jaun,
Akhri Baar Tu Sahil Sey SadaDey Mujh Ko
Main Tery Hijar Mein ChupChap Na Mar JAoun Kahein,
Main Hun SakteyMein, Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko
Dekh Main Ho Gya Hun Badnaam Kitboun Ki Tarha,
Meri Tashheer Na Kar, Ab To Jala Dey Mujh Ko
Roothna Tera, Meri Jaan Liye Jata Hai,
Aisey Naaraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko
Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nigal JataHai,
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Hun,Duaa DeMujh Ko
Yahi Auqaat Hai Meri TerayJeevan Mein,
Koi Kamzore Sa Lamha Hun,Bhula DeMujh Ko
Aur Kuch Nahein Manga MerayMAlik Tujh Sey,
Us Ki Galiyoun Ki Khak BanaDey Mujh Ko'

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

'sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya

lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya

aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya

jane kya us ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya

khud bhi voh hum se bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....'

MyUrduStuff

Search This Blog

My Urdu Stuff