Monday, June 7, 2010

Shaam K Baad [2]

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitne chupchap se lagate hain shajar shaam ke baad
itne chupchap ke raste bhi raheinge la-ilm
chor jayeinge kisi roz nagar shaam ke baad
main ne aise hi gunaah teri judaai mein kiye
jaise tuufaan mein koii chor de ghar shaam ke baad
shaam se pehle vo mast apani aDaanon mein rahaa
jis ke haathon mein the TooTe hoe par shaam ke baad
raat biti to gine aable aur phir sochaa
kaun thaa baais-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad
tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaaN raat kaa dukh
tuu kisii roz mere ghar mein utar shaam ke baad
lauT aaye na kisi roz vo aavaaraa majaaz
khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

2 comments:

  1. nice poetry, amazing to see that a web developer/web designer is also poet.....

    ReplyDelete
  2. awesome...i have heard this nazam b4, but its so good that like it every time i hear it

    ReplyDelete

MyUrduStuff

Search This Blog

My Urdu Stuff