Saturday, July 2, 2011

Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...

Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jale Chirag To Bujhne Laga, Mera Chehra

Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safeer Sadiyon Ke
Tu Un Dinoon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada
Teri Talash, Zamane, Hawa, Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra

Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ke
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ke Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi?
Badan Ke Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra

Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-E-Shaam-E-Safar Thi Ke Mera Chehra

Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahi Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...

No comments:

Post a Comment

MyUrduStuff

Search This Blog

My Urdu Stuff